PHOOLON KA TARON KA SABKA KEHNA HAI LYRICS

Song Credits:-
Song : Phoolon Ka Taron Ka Sabka Kehna Hai
Album : Hare Rama Hare Krishna (1971)
Singer : Lata Mangeshkar, Kishore Kumar
Musician : R. D. Burman
Lyricist : Anand Bakshi

Phoolon Ka Taron Ka Sabka Kehna Hai Lyrics

Phoolon ka taron ka sabka kehna hai
Ek hazaron mein meri behna hai
Saari umar humein sang rehna hai x (2)

Phoolon ka taron ka sabka kehna hai

Jab se meri aankhon se ho gayi tu door
Tab se saare jeevan ke sapne hain choor x (2)

Aankhon mein neend na mann mein chaina hai
Ek hazaron mein meri behna hai

Saari umar humein sang rehna hai
Phoolon ka taron ka sabka kehna hai

Yeh na jaana duniya ne tu hai kyon udaas
Teri pyaasi aakhon mein pyar ki hai pyaas
Aa mere paas aa keh jo kehna hai
Ek hazaron mein meri behna hai
Saari umar humein sang rehna hai
Phoolon ka taron ka sabka kehna hai

Dekho hum tum donon hain ik daali ke phool
Main na bhoola tu kaise mujhko gayi bhool x (2)

Aa mere paas aa, keh jo kehna hai
Ek hazaron mein meri behna hai
Saari umar humein sang rehna hai
Phoolon ka taron ka sabka kehna hai

Jeevan ke dukhon se yoon darte nahi hain
Aise bachke sach se ghuzarte nahi hain x (2)

Sukh ki hai chaah to dukh bhi sehna hai
Ek hazaron mein meri behna hai
Saari umar humein sang rehna hai

Bholi bhali japani gudiya jaisi tu
Pyaari pyaari jadoo ki pudiya jaisi tu x (2)

Daddy ka mummy ka sabka kehna hai
Ek hazaron mein meri behna hai
Saari umar humein sang rehna hai
Phoolon ka taron ka sabka kehna hai

Phoolon ka taron ka sabka kehna hai
Ek hazaron mein meri behna hai

Ek hazaron mein meri behna hai

Phoolon Ka Taron Ka Sabka Kehna Hai Video Song

2 thoughts on “PHOOLON KA TARON KA SABKA KEHNA HAI LYRICS”

Leave a Comment